Loading...
Skip to Content

Imaan Ki Mukammal Khasliyat

Teen cheezen jo kisi mein paayi jayein to usne imaan ki khasliyat ko mukammal kar liya – jo zulm par sabr kare, apne ghusse ko daba le, aur Allah ki khatir maaf kar de, Allah usko jannat mein dakhil karega aur usay Rabeea aur Mudar (qabeelon) jitne afraad ke liye shafa'at karne ka haq ata karega.

Imam jafar ibn muhammad(as)

Reference: Sifat al shia, hadith 52

Book link: https://thaqalayn.net/hadith/26/1/52/1

posted by: Ammar al ashtari



Auraton Ki Khaslatain

Auraton ki behatreen khaslaten wo hai, jo mardon ki buri aadaten hain, aur woh nukhoot (takabbur), buzdili aur kanjoosi hain kyonki jab aurat khudpasand hogi to apnay upar kisi ko ikhtiyar nahi degi aur jab kanjoos hogi to apnay aur shaohar kay maal ki hifazat karegi aur jab darpok hogi to har us cheez say dehshatzada hogi jo iski aabroo kay liye khatarnak hogi.

Ameerul Momineen(as)

Reference: Mizan al Hikmah, H677 (translated by Dr. aslam Abbas)

Book link: N/A

posted by: Gumnaam Khadim



Amanat Ki Ahmiyat

Imam Jaffer e Sadiq a.s farmatay hain amaanat lauta diya karo, khwah Hussain ibn e Ali a.s kay qaatil ki hi kyon na ho.

Imam Jafar As Sadeq(as)

Reference: Mizan al Hikmah, H677 (translated by Dr. aslam Abbas)

Book link: N/A

posted by: Khadim gumnaam



Shadi krty waqt khandaan dekhna

Rasule Khuda (saww) Nek aur paak-daaman qabile (khandaan) mein Shaadi karo, kyun ki maa-baap ke akhlaaq aulaad mein muntaqil (transfer) hote hain.

Rasool saw

Reference: Meezan ul Hikmah, v4, p493

Book link: https://www.al-islam.org/mizan-al-hikmah-scale-wisdom

posted by: gatesofwisdom



Tasbeeh Fatima saw

Imam Sadiq (as) Agar Tasbeeh e Fatima Zahra (sa) se koi cheez zyada fazilat wali hoti to H. Rasule Khuda (saww) Fatima Zahra (sa) ko zaroor taalim farmate.

Imam Sadiq (as)

Reference: Furoo e Kafi, v2, p112

Book link: https://archive.org/details/FarooEKaafiurdu

posted by: gatesofwisdom



Fiqhi ahkaam ky bary m ilm

Imam Sadiq (as) Kaash mere dosto'n ke saro'n par kodde barsaaye jaayein ke wo Halaal o haraam ke Fiqhi ahkaam jaan le'n. Meezan ul Hikmah, v6, p818

Imam Sadiq (as)

Reference: Meezan ul Hikmah, v6, p818

Book link: https://www.al-islam.org/mizan-al-hikmah-scale-wisdom

posted by: gatesofwisdom



Qayamat ky din pahala sawal

Rasule Khuda (saww): Qayamat ke din bando'n se sabse pehla sawaal hum Ahlebait (as) ki mohabbat ka kiya jayega.

Rasool saw

Reference: Tafseer Noor us Saqlain, v7, p219

Book link: https://archive.org/details/TafseerNoorUlSaqlaiurdu

posted by: gatesofwisdom



Haya aur imaan ki nishaniya'n

Awaaz ko dhimi rakhna, aankhon ko jhukaye rakhna, chalne me miyanrawi ikhtiyaar karna imaan ki aur mardangi ki alamat hai aur behtareen deendari hai

-Ameerul Momineen

Reference: mizaan al hikmah, hadees 3712/13

Book link: n/a

posted by: Alkarbala



Aib ka Asl chehra

Sab se bada aib ye hai ke us aib ko bura kehna, jiske maanind khud tumhare andar maujood ho.

-Ameerul Momineen

Reference: Nahjul Balagha, Hadith 353

Book link: https://alkarbala.org/download.php?file=uploads%2Fuploads%2FNehjulBalagha-English.pdf

posted by: Alkarbala



Libaas (02)

Resham aur sone(gold) ka libaas meri ummat ke mardo'n par haram aur aurton par halal hai

Rasool(saw) ne farmaya:

Reference: Meezan Ul Hikmah, hadees 5655

Book link: n/a

posted by: Alkarbala



Libaas (01)

Apne Kapdon me se safayd(white) kapdon ko pehna karo kyunki ye Tumhare liye saaf suthre aur paak wa pakeeza libaas hai aur apne murdon ko bhi ishi me kafan diya karo

Rasool(saw)

Reference: mizaan al hikmah, hadees 5641

Book link: N/A

posted by: Alkarbala



hikmat

Apny Momin Bahi ki mushibat pr khusi ka izhar na kro hoskta hai ky khuda usko maff krde aur tumhain uski mushibat m mubtla krdain

Rasool saw ny farmya

Reference: Amali Sheik Tusi r.avolume 1,chapter 2 H1 ,Page 93

Book link: https://drive.google.com/file/d/1qOIb5BZxT5mLMRmSajGnZhGS4Emxaftm/view?usp=drivesdk

posted by: hammadmuntazir



Fitna-e-Thaani

Rawi beyaan krtay hain mein ne Rasool e Khua (s.a.w.w.) se poocha: Ay Allah ke Rasool (s.a.w.w.) ap ke wisaal pr apko ghusl kon dega? Nabi (s.a.w.w.) ne farmaya: Ali ibn e Abi Talib (a.s.), mein ne poocha: Wo Apke baad kitna arsa zinda rahaingy?, Nabi (s.a.w.w.) ne farmaya: 30 saal keh Moosa (a.s.) ke wasi (successor) bhi Hazrat Moosa (a.s.) ke baad 30 saal zinda rahay or un ke khilaaf Moosa (a.s.) ki zauja (Safra bint e Shoaib) ne baghawat ki aur ye kaha keh mein ziyada haqdaar hun tumse is amr (matter) mein, pas unhone (unke wasi ne) uske (wife of Hazrat Moosa) ke saath jang ki or uske maan'nay walon ko qatl kardiya aur us aurat ko aseer (qaid) krliya magr uske saath achha sulook kiya, aur Abu Bakr ki beti bhi Ali (a.s.) ke khilaaf baghawat kregi aur Ali (a.s.) is ke jangju'on (warriors) ko qatl kreingy or is ko qaid kreingy aur is ke saath naik sulook kreingy aur ishi baaray mein Allah Ta'ala ne ye aayat nazil farmayi hai: وَقَرْنَ فِي بُيُوتِكُنَّ وَلَا تَبَرَّجْنَ تَبَرُّجَ الْجَاهِلِيَّةِ الْأُولَى ( aur apnay gharoon mein baithi raho aur aglay zamana e jahiliyyat ki tarhan apna banao singhaar na dikhati phiro) Surah Ahzaab ayat 33.

It is narrated from Ali bin Ahmad al-Daqaqi from Hamza bin Qasim from Abul Hasan Ali bin al-Junaid Raazi from Abu Awana from Hasan bin Ali from Abdur Razzaq from his father from Abdur Rahman bin Auf’s slave, Maina from Abdullah bin Masud that he said:

Reference: Kamaaluddin wa Tamaamun Ni'ma ( Sheikh Al Suddooq - Urdu - Al Kisa' Publishers ), vol 1 Pg # 46

Book link: https://alkarbala.org/download.php?file=uploads%2Fuploads%2FKamaalunddin+was+Tamaamun+Ni%E2%80%99ma+vol+1.pdf

posted by: Daybal Haider



Tajalliyat-e-Irfan

Hum Rasool e Khuda (s.a.w.w.) ke paas baithay thy, Ap (s.a.w.w.) ne farmaya, "Jo shakhs Adam (a.s.) ko un ke ilm mein aur Nooh (a.s.) ko unki sulh joyi (peacefulness) mein aur Ibrahim (a.s.) ko unke hilm (tolerance) mein aur Moosa (a.s.) ko unki zehanat (intelligence) mein or Dawood (a.s.) ko unke zohd (abstinence) mein dekhna chahta hai to wo Us ki taraf dekh le". Abdullah ibn e Abbas kehtay hain jab humne us taraf dekha jis taraf Ap (s.a.w.w.) ne ishara farmaya to humne dekha keh Ali ibn e Abi Talib (a.s.) humari taraf aa rhay hain jabke ap apnay qadmon ko buland lekin baghair ghuroor o takabbur ke utha rhay hain.

It is narrated from Muhammad bin Musa al-Mutawakkil from Ali bin al-Husain al-Sadabadi from Abdul Malik bin Harun Anqarah al-Shaibani from his father from his grandfather from Abdullah bin Abbas that he said:

Reference: Kamaaluddin wa Tamaamun Ni'ma ( Sheikh Al Suddooq - Urdu - Al Kisa' Publishers ), vol 1 Pg # 44

Book link: https://alkarbala.org/download.php?file=uploads%2Fuploads%2FKamaalunddin+was+Tamaamun+Ni%E2%80%99ma+vol+1.pdf

posted by: Daybal Haider



Imam Ki Inkaar

Jo humaray Aakhir ka munkir hai wo aisa hi hai jaisa keh humaray Pehlay ka munkir, Imam (a.s.) ne mazeed farmaya, "Agr koi shakhs hum mein se kisi bhi aisay ka inkaar krta hai jo zinda hai to (goya) wo humaray sb guzray hu'on (those who have passed away) ka inkaar krta hai".

-Imam jafar(as)

Reference: Kamaaluddin wa Tamaamun Ni'ma ( Sheikh Al Suddooq - Urdu - Al Kisa' Publishers ), vol 1 Pg # 32-33

Book link: https://alkarbala.org/download.php?file=uploads%2Fuploads%2FKamaalunddin+was+Tamaamun+Ni%E2%80%99ma+vol+1.pdf

posted by: Daybal Haider



Hujjat-e-Ghaib

Allah Tabaarak wa Ta'ala ne Hazrat Adam (a.s.) ko apni tamaam Hujjaton ke naam bataye, is ke baad Unhain (Ma'soomeen ko) jabke wo basoorat e arwah (souls) thay malaika (angels) ke samnay paish kiya aur kaha, Mujhy batao in logon ke naam agar tum sachhay ho is baat mein keh tum hi zameen pr khalifa ban'nay ke Adam (a.s.) se ziyada haqdaar ho kiunke tum tasbeeh o taqdees krtay ho. Unhone (farishton ne) kaha, paak o munazza hai Teri zaat humain koi ilm hi nhi magr wo kuch jo Tune humain sikhaya hai beshak Tu hi Aleem o Hakeem hai. Allah Ta'ala ne farmaya, ay Adam (a.s.) batao inhain Un logon ke asma'a (names). Pas jab Adam (a.s.) ne unhain bataya to wo Un hastiyon ke Allah ke nazdeek azeem rutbay or manzilat se waqif ho gaye aur ye jaan gaye keh Wo log hi zamen pr Allah ke khalifay or Jaan Nahseen ban'nay or Us ki makhlooqaat ke liay Hujjat qaraar paanay ke ziyada haqdaar hain. Is ke baad Allah ne Un Hastiyon ko farishton ki nazron se makhfi (chupa) diya aur unhain In ki Wilayat or Hujjat ka hukm de diya aur un se kaha, Kiya Mein ne tumhain nhi kaha tha keh Mein aasmaanon aur zameen ke ghaib jaanta hun aur jaanta hun jo kuch tum zahir krtay ho aur jo kuch tum chupatay ho?

-Imam jafar(as)

Reference: Kamaaluddin wa Tamaamun Ni'ma ( Sheikh Al Suddooq - Urdu - Al Kisa' Publishers ), vol 1 Pg # 32

Book link: https://alkarbala.org/download.php?file=uploads%2Fuploads%2FKamaalunddin+was+Tamaamun+Ni%E2%80%99ma+vol+1.pdf

posted by: Daybal Haider



Ghaib Mein Dua ka Faida

Agar koi shakhs apne bhai ke liye dua kare, jab woh (uska bhai) ghaib (absent) ho, to aasmano se ek farishta pukarta hai: Tumhare (dua mangnay wale ke) liye bhi yahi faida ho.

Rassol(saws)

Reference: Kamaaluddin wa Tamaamun Ni'ma ( Sheikh Al Suddooq - Urdu - Al Kisa' Publishers ), vol 1 Pg # 28

Book link: N/A

posted by: alkabala




Want to receive daily islamic messages on your phone?